Nashey Mein.

Sunday, March 18, 2012 at 11:21 pm | Posted in Poetry | 2 Comments
Tags: , , , ,

Nashey mei(n) rahnein de mujhe aaj
Hosh aaya toh shayad hosh mein na rahoo(n)
Aansuo(n) ko ankho(n) mei(n) rehne de aaj
Tapke toh shayad rok na sakoo(n)

Teri yaad mujhe aisey aati hai
Jaise ilm ho mujhe tera pehle se kabhi
Kaise samjhaoo(n) is duniya ko,
Ki waaqif hai meri ruh tere dil se pehle say kabhi

Shor abhi tak sun raha hai mujhe
Socha tha qabr mein sakoo(n) aayega
Kya maloom tha yeh dil bewafaii apne aap se kar jayega

Yeh jannat hai yah jahannum
Teri awaaz ki pukaar hai
Khuaish bas ek dafa tujhe chooney ki thi

Sona
(n) – that nasly n sound, so you don’t actually pronounce the n.
I wrote this a very long time, sorry for the English readers – it only works in Hindustani and I don’t want to translate it. I don’t know if it’s finished yet, but I can’t think of anything to add right now.

2 Comments »

RSS feed for comments on this post. TrackBack URI

  1. nice one…

    • Thank you Sir.

      S


Leave a comment

Create a free website or blog at WordPress.com.
Entries and comments feeds.